Sawan men mile ye SAAT Shiv ka ashirvaad,
Shiv ki bhakti
Shiv sa sahas
Shiv ka tyag
Shiv ka Saath
Shiv sa tapobal
Shiv sa Shaan
Jai Shiv Shambhu
Happy Sawan Somvar
Ab ke sawan mein paani barsa bohat,
Paani ki har boond mein wo aaye yaad bohat.
Is suhaane mausam mein saath nahi tha koi,
Baadlon ke saath in aankhon se paani baha bohat.
Aaj bhigi hai palke kisi ki yaad mein,
Aakash bhi simat gaya hai apne aap mein,
Oas ki boonde aisi giri hai jameen per,
Maano chand bhi roya ho uski yaad mein.
ye barsaat aj mujhse kuch kah gayi
aaj fir meri baho me uski kami rah gayi
ek pal ke liye use chhua maine
aur aj fir uski yaad baarsih mein pani ki tarah bah gayi
Masoom Mohabat ka bas itna sa fasana hai,
Kaghaz ki KASHTY
aur barish ka zamana hai,
Kya shart-e-mohabat, Kya shart-e-zamana hai,
Uss par utarne ki umeed bohat kam hai,
Kashti bhi purani aur toofan ko bhi ana hai,
...Samjhe ya na samjhe woh andaaz mohabat ke,
Aik shaks ko ankhon se aik shair sunana hai,
Bholi si ada aaj phir ishq ki zad main hai,
Phir aag ka darya hai aur doob ke jana hai.
Sawan ke mausam mein hawa jab behti hai
baarish ki bundo ke sang milkar kuch kehti hai
Gunjta hai fiza mein pyaar ka ehsaas
bundo mein nazar aata hai chehra woh khaas
Bheegte hain ehsaas kuch hasin sapno ke sath
har pyaar bhare dil ko rehta hai sawan ka intezar.
Mandir ki Ghanti, Aarti ki Thali,
Nadi ke Kinare Suraj ki Lali,
Zindagi laye Khushi ki Bahar,
Mubarak ho aapko Sawan ka “Somwaar”.
Besan ki roti, Nemu ka achaar,
Doston ki khushi, Apnon ka pyar,
Sawan ki rain, Kisi ka intezar,
Mubark ho aapko,
Shiv Saavan Somvaar!
Shiv ki mahima aprampar!
Shiiv karte sabka udhar,
Unki kripa ham sab par sada bani rahe,
Aur bhole shankar hamare jivan me khushi hi khushi bhar de.
Om Namah Shivaay!